Posts

Showing posts from November, 2017

Sita Samahit Sthal ,Sitamarhi,Uttar Pradesh

Image
                                                             Sita Samahit Sthal Hum vaha gaye thae jo bholenath ki nagari ki kashi hai ,kahte hai jab sab khatam ho jayega kalyug ke ant me,tab yeh kashi ko shiv ji apne trishul per dharan kar lenge, jati,jaha Shri ram ne apna Vanvaas bitya tha,jo pehale hindusthan ka sabse bade state tha,Yeh tha Uttar Pradesh,uttar pradesh kyo kaha jata hai,aisa maine kabhi socha nahi,mai ek ghumkad jeev ho,so chal diye apni Uttar pradesh ki yatra pe,ussi yatra ki bahut yaadein hai,bahut pal hai,ussi yatra ke palo me,yatra ka ek ansh me se ek yaha bata rahi ho, varanasi se allahabad ke raste me Sitamarhi aata,highway se andar jana padta hai,rasta thoda kharab tha per jab hum vaha pauche to bahut acha feel hua.sabse pehale ek hanumaan ji ka mandir aata hai,jo dur se hi dikh jata hai,vaha ek haumaan ji bahut badi murti hai,perhum 2 pm pauche thae tab vo band tha.2:30 pm khulne ka time tha so hum sita ji ke mandir ki taraf chal diyae Statue of Lord Ha